fikr-e-anjam na aaghaz ka kuchh hosh raha

fikr-e-anjam na aaghaz ka kuchh hosh raha
chaar din tak to jawani ka ajab josh raha

main qafas mein bhi kisi roz na khamosh raha
kashmakash mein bhi tabiat ka wahi josh raha

nashsha-e-ulfat-e-saqi ka ajab josh raha
haul-e-sahra-e-qayamat bhi faramosh raha

ghair hon jura-e-kash-e-bazm-e-tamanna afsos
khun ke ghunt main pita raha khamosh raha

hech aafat na-rasad gosha-e-tanhai ra
dasht-e-ghurbat mein main ye sonch ke ru-posh raha

mausam-e-gul ki hawa daru-e-be-hoshi thi
sar uthane ka bhi sabze ko na kuchh hosh raha

nikhat-e-gul ki tarah jame se bahar hunga
fasl-e-gul ka jo gulistan mein yahi josh raha

bahr-e-rahmat mein bahut hoga talatum barpa
tujh ko ai ashk-e-nadamat jo yahi josh raha

apne sar se bhi kisi roz guzar jaega
aab-e-shamshir ko qatil jo yahi josh raha

saya-e-daman-e-qatil mein jo nind aai mujhe
phir to karwat bhi badalne ka na kuchh hosh raha

dhum sunta raha ab aate hain ab aate hain
hashr tak main yunhi khole hue aaghosh raha

dur khinchti hi gai manzil-e-maqsud magar
rah-raw-e-ishq ki himmat ka wahi josh raha

rahmat-e-haq rahi hum aasiyon par saya-fagan
sar pe chhaya hua ek abr-e-khata-posh raha

uthte uthte thi wahi bazm ki mastana rawish
chalte chalte bhi khum-e-mai ko wahi josh raha

phir gain aankhen meri kucha-e-jaanan ki taraf
shukr hai marte dam itna to mujhe hosh raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close