gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai

gareban dar gareban nukta-arai bhi hoti hai
bahaar aae to diwanon ki ruswai bhi hoti hai

hum un ki bazm tak ja hi pahunchte hain kisi surat
agarche rah mein diwar-e-tanhai bhi hoti hai

bikharti hai wahi akasr khizan-parwar bahaaron mein
chaman mein jo kali pahle se murjhai bhi hoti hai

ba-nam-e-kufr-o-iman be-murawwat hain jahan donon
wahan shaikh-o-barahman ki shanasai bhi hoti hai

chamakti hai koi bijli to sham-e-rahguzar ban kar
nigah-e-barham in ki kuchh to sharmai bhi hoti hai

'qatil' us dam bhi rahta hai yahi ehsas-e-mahrumi
jab un shanon pe zulfon ki ghata chhai bhi hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close