ghabra kar aflak ki dahshat-gardi se hum ne khud ko tod diya bedardi se jab khud ko har taur bayaban kar dala tab ja kar baz aae dasht-nawardi se ab bhi kya kuchh kahne ki gunjaish hai sab kuchh zahir hai chehre ki zardi se hum ek bar bhatak kar itna bhatke hain ab tak darte hain aawaragardi se hum bhi ishq ki pagdandi se guzre hain waqif hain pech-o-kham ki sar-dardi se