ghadi jita ghadi marta raha hun use jate hue takta raha hun main khud ko samne tere bitha kar khud apne se gila karta raha hun jo sare shahr ka tha us ki khatir main sare shahr se ladta raha hun main waqt-e-khana-e-mazdur tha so ba-taur-e-imtihan katta raha hun bahut pahchanta hun zahidon ko tumhaare ghar ka main rasta raha hun