haq mujhe baatil-ashna na kare main buton se phirun khuda na kare dosti bad bala hai is mein khuda kisi dushman ko mubtala na kare hai wo maqtul kafir-e-nemat apne qatil ko jo dua na kare ru mere ko khuda qayamat tak pusht-e-pa se teri juda na kare naseho ye bhi kuchh nasihat hai ki 'yaqin' yar se wafa na kare