ghafil teri nazar hi se parda uTha na tha

ghafil teri nazar hi se parda utha na tha
warna wo kis maqam pe jalwa-numa na tha

raushan charagh-e-ishq ne ki manzil-e-hayat
warna wo tirgi thi ki kuchh sujhta na tha

maqsud ek tere hi dar ki thi justuju
dair-o-haram se mujh ko koi wasta na tha

aawaz de rahe the jise be-khudi mein hum
dekha to wo hamein the koi dusra na tha

wo to shikayat apni wafaon ki thi huzur
kuchh aap ki jafaon ka shikwa-gila na tha

mana ki dur tha to nigahon se ai karim
lekin tera khayal to dil se juda na tha

hum aap apni manzil-e-maqsud the 'umid'
jate kahan ki khud se pare rasta na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close