jitna tera hukm tha utni sanwari zindagi apni marzi se kahan hum ne guzari zindagi mere andar ek naya gham roz rakh jata hai kaun rafta rafta ho rahi hai aur bhaari zindagi ruh ki taskin ke sare dariche khul gae dard ke pahlu mein jab aai hamari zindagi sirf thi khana-badoshi ya mohabbat ka junun hijraten karta raha ek shakhs sari zindagi ek lafz-e-kun kaha aabaad sannate hue aasmanon se zaminon par utari zindagi