ghaibi duniyaon se tanha kyun aata hai

ghaibi duniyaon se tanha kyun aata hai
do honton ke bich ye dariya kyun aata hai

jaise main apni aankhon mein dub raha hun
ghairon ko aksar ye sapna kyun aata hai

meri raaton ke sare asrar samete
mujh se pahle mera saya kyun aata hai

jahton ke barzakh mein panw ulajh jate hain
raste mein sanson ka rasta kyun aata hai

sat falak kyun dhalte hain aansu mein mere
pani ki tashkil mein sahra kyun aata hai

main jab ek hayula hun nafi ka to phir
har chehre mein mera chehra kyun aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close