jab achanak mere pahlu se mera yar uTha

jab achanak mere pahlu se mera yar utha
dard sine mein utha aur kai bar utha

zindagi bojh na ban jae tan-asani se
apne raste mein kabhi khud koi diwar utha

sarsar-e-waqt se ghafil tha tu ai kibr-nazad
gir gai khak zamin par teri dastar utha

wahm-e-nazara mein hai aafiyat-e-dida-o-dil
bhul kar bhi na kabhi parda-e-asrar utha

jis se ho jaen mere chahne wale taqsim
aisi diwar na koi mere meamar utha

khauf-e-tadib se mazlumon pe roya na gaya
sham-e-maqtal mein koi bhi na azadar utha

dur tak phaila hua dasht-e-bala hai bahar
apni mahfil se na mujh ko mere dildar utha

naz-bardar-e-hunar ho gae rukhsat kab ke
ab bisat-e-sukhan-o-naghma-o-ashaar utha

samne tere zar-afshan hai nai subh-e-umid
apni palkon ko zara dida-e-khun-bar utha

kal 'farasat' tha yahan majma-e-yaran tere sath
ab isi shahr mein tanhai ke aazar utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close