ghair ko tum na aankh bhar dekho

ghair ko tum na aankh bhar dekho
kya ghazab karte ho idhar dekho

khak mein mat milao dil ko mere
ji mein samho tuk apna ghar dekho

dekhna zulf-o-rukh tumhein har waqt
sham dekho na tum sahar dekho

gul hue jate hain charagh ki tarah
hum ko tuk jald aan kar dekho

aap pe apna ikhtiyar nahin
jabr hai hum par kis qadar dekho

ram baaton mein to wo ho na saka
naqsh o afsun bhi koi kar dekho

lakht-e-dil tum na samho mizhgan par
aashiqi ka ye hai samar dekho

wasl hota nahin bhala kyunkar
apni hasti se to guzar dekho

dekhte hi nahin to kya kahiye
kahiye tab haal kuchh agar dekho

dhalte ho tum butan udhar dil se
aaj-kal jis ke hath zar dekho

ishq-bazi se baz aao 'hasan'
chhod do apna ye hunar dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close