taKHta-e-mashq-e-sitam mujhko banane wala

takhta-e-mashq-e-sitam mujh ko banane wala
tha wahi roz mere khwab mein aane wala

muntashir kar diya shiraaza-e-hasti jis ne
khana-e-dil ko mere tha wo sajaane wala

roz karta raha wo wada-e-farda mujh se
umr bhar ahd-e-wafa tha jo nibhane wala

us ne manjdhaar mein kashti ko meri chhod diya
tha jo tufan-e-hawadis se bachane wala

pahle karta tha pas-e-parda meri bekh-kuni
kaamyabi ka meri jashn manane wala

sabiqa jis se pada maslahat-andesh tha wo
dost hota nahin har hath milane wala

mar dale na ye tanhai ka ehsas mujhe
muntazir jis ka tha ab wo nahin aane wala

jis se dil-jui ki ummid thi nikla wo raqib
jis ko dekho hai wahi mujh ko satane wala

aish-o-ishrat ke sada khwab dikhata tha use
ghamza-o-naz se 'barqi' ko lubhane wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close