ghairon mein hina wo mal raha hai

ghairon mein hina wo mal raha hai
nairang-e-jahan badal raha hai

khatka hai ye nashtar-e-mizhgan ka
rag rag se jo dam nikal raha hai

wasf-e-lab-e-surkh likh raha hun
yaqut qalam ugal raha hai

aabaadi-e-dil hai dagh-e-sozan
is ghar mein charagh jal raha hai

hai dil ki tadap se chashm-e-pur-nam
pare ka kuan ubal raha hai

dil gham se na kis tarah ho thanda
pankha dam-e-sard jhal raha hai

betab hai dil ye gham ke hathon
gende ki tarah uchhal raha hai

shabnam se josh-e-mai-kashi hai
har saghar-e-gul khangal raha hai

dil aatish-e-gham se tao kha kar
range ki tarah pighal raha hai

hai chashm-e-siyah mein kudak-e-ashk
bhanwre mein ye tifl pal raha hai

manka hai dhala lawen phiri hain
aa jald ki dam nikal raha hai

be-barg-o-samar hain ek hamin 'shad'
har ek nihaal phal raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close