gosh kar fariyaad-e-ashiq jaan kar nala-e-bulbul pe ai gul kan kar jab badal kapde kafan ka dhyan kar ghusl-e-mayyat jaan jab ashnan kar khaal mujh mahw-e-mizha ki jaan kar rakh diya chhalni ka sina chhan kar mit gae us ki chaqon ko dekh kar bulbule ubhre jo sina tan kar sakht-jaan wo hun jo ho mujh par rawan aslahe rah jaen loha man kar aag mein apne misal-e-shama jal par zaban se uf na ai nadan kar nashtar-e-mizhgan ho bundi ki katar bund-bar pani pila ehsan kar ai dur-e-yakta janab-e-khizr ne ek mujhe paya zamana chhan kar jism-zar-e-qais ka puchha jo haal rakh diya makdi ne jala tan kar gham gunahon ka na kha 'shad'-e-hazin rahmatul-lilalamin par dhyan kar