ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh

ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh
sharab lao gham-e-kufr-o-din darogh darogh

hazar nakhl-e-guman hain abhi numud-asar
azal ke din se hai kisht-e-yaqin darogh darogh

hadis-e-rashk-e-raqiban hui hai jis ki nazar
main aur us ki lagan ham-nashin darogh darogh

khud apni masti-e-pinhan se hath aata hai
shikar-e-nafa-e-ahu-e-chin darogh darogh

main aur shikwa-e-sarai-e-zakhm-e-be-sababi
tu aur dashna tah-e-astin darogh darogh

zarur koi nazar hai harif-e-khud-nigari
wo aur bazm mein chin-bar-jabin darogh darogh

malul kuchh gham-e-baalidgi se hai warna
sirisht-e-gul ko malal-e-zamin darogh darogh

sadaen din tujhe khalq-e-khuda ne maqtal se
teri gali mein khabar tak nahin darogh darogh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close