gham-e-dil kisi se chhupana paDega

gham-e-dil kisi se chhupana padega
ghadi do ghadi muskurana padega

ye aalam-e-hasti ye daur-e-zamana
to kya ab tumhein bhul jaana padega

bahut bach ke nikle magar kya khabar thi
idhar bhi tera aastana padega

abhi munkir-e-ishq hai ye zamana
jo dekha hai un ko dikhana padega

chalo mai-kade mein basera hi kar lo
na aana padega na jaana padega

na hoga kabhi faisla kufr o din ka
tumhein rukh se parda hatana padega

nahin bhulta 'saif' ahd-e-tamanna
magar rafta rafta bhulana padega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close