gham gardish-e-dauran ke bhulae nahin jate

gham gardish-e-dauran ke bhulae nahin jate
ab zakhm dil-o-jaan ke chhupae nahin jate

kya ruh ki gahrai mein tum jhank rahe ho
ab raaz mohabbat ke chhupae nahin jate

jin rah-guzaron pe tere naqsh-e-qadam hain
wo naqsh-e-qadam hum se mitae nahin jate

zulmat ke manazir se riha ho gain nazren
zehnon se magar khauf ke sae nahin jate

main kaise tilawat karun aayat wafa ki
kyon taj-mahal aaj banae nahin jate

'gulnar' har ek sher se zahir hai tera gham
ashaar kabhi yunhi sunae nahin jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close