gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya

gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya
dariya thahar gaya hai kinara guzar gaya

bas ye safar hayat ka itni si zindagi
kyun itni jaldi rasta sara guzar gaya

wo jis ki raushni se chamakna tha bakht ko
kis aasman se wo sitara guzar gaya

kya zikr us ghadi ka kadi thi ki sahl thi
jo waqt jis tarah bhi guzara guzar gaya

tafhim-e-dosti mein badi bhul ho gai
phir dur se hi dost hamara guzar gaya

kar ke yaqin phir se ki main mushkilon mein hun
thahra nahin wo shakhs dobara guzar gaya

ek waqt khush-nasib sa aaya to tha 'adim'
maddham si ek sada mein pukara guzar gaya

mujrim hua tha aankh jhapakne ka main 'adim'
jo zehn mein basa tha nazara guzar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close