gham se kahan ai ishq mafar hai raat kati to subh ka dar hai tark-e-wafa ko muddat guzri aaj bhi lekin dil pe asar hai aaine mein jo dekh rahe hain ye bhi hamara husn-e-nazar hai gham ko khushi ki surat bakhshi is ka bhi sehra aap ke sar hai lakh hain un ke jalwe jalwe meri nazar phir meri nazar hai tum hi samajh lo tum ho masiha main kya jaanun dard kidhar hai phir bhi 'shakil' is daur mein pyare sahab-e-fan hai ahl-e-hunar hai