dard-e-gham-e-firaq se aankhen hain ashk-bar kya

dard-e-gham-e-firaq se aankhen hain ashk-bar kya
rone se hogi mukhtasar zahmat-e-intizar kya

zakhmon se chur jo na ho sina-e-dagh-dar kya
jis mein na ho hujum-e-gul kahiye use bahaar kya

jis ne jala ke dil mera hijr ki shab mita diya
shamen jalane aaya hai ab wo sar-e-mazar kya

uth gai jis taraf nazar hashr sa ek bapa hua
un ki nigah-e-naz hai fitna-e-rozgar kya

mit ke bhi us ki justuju hai jo jahan mein chaar-su
lega kisi jagah qarar udta hua ghubar kya

ho chuki khatm sham-e-gham aankhon mein aa chuka hai dam
ab bhi mariz-e-hijr ko un ka hai intizar kya

jurm-e-wafa se andalib-e-gul ki nazar mein thi zalil
kanton ke bhi nigah mein hona padega khwar kya

koshish-e-zabt lakh ki phir bhi na ashk tham sake
jabr na dil pe ho saka aisa bhi ikhtiyar kya

un ki nazar ke sath hi sara zamana phir gaya
gardish-e-chashm-e-naz hai gardish-e-rozgar kya

baad-e-khizan ki mauj thi ghuncha-e-dil ke haq mein sam
mausam-e-gul ki bhi hawa hogi na sazgar kya

'shoala' tafta-dil mujhe aatish-e-ishq se hai kaam
meri nazar mein tur ki barq-e-sharara-bar kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close