gham tera dil mein mere phir aag sulgane laga

gham tera dil mein mere phir aag sulgane laga
phir dhuan sa us se kuchh uthta nazar aane laga

ishq ke sadme uthae the bahut par kya karen
ab to un sadmon se kuchh ji apna ghabrane laga

main hi kuchh be-sabr-o-taqat ishq mein us ke nahin
dil bhi ab be-taqati se kaam farmane laga

dekhte hi us ke kuchh is ki ye haalat ho gai
jo mujhe samjhae tha main us ko samjhane laga

raqs mein us ke sanjaf-e-surkh ke aalam ko dekh
shoala-e-jawwala daman se lipat jaane laga

ho chuki fasl-e-gireban-chaaki ab dast-e-junun
dhajjiyan kar ke mujhe daman ki dikhlane laga

munh se nikla tha mere itna hi kya achchhi hai zulf
sunte hi is baat ke kuchh wo to bal khane laga

kyun na phadun main gireban mere hote bazm mein
ghair se band-e-qaba wo apne khulwane laga

'mushafi' main to na likhta tha wale shauq-e-fuzul
is zamin mein phir ghazal ek mujh se likhwane laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close