ghamon ki odhni odhe khade hain zindagani mein nikale pida ka ghunghat sada apni kahani mein sukun katra nahin barsa sada tadpe sada tarse usi bad-haal manzar ne laga di aag pani mein mere kandhe mere yaron mere sadmon ne tode hain uthae phir rahe the bojh gham ka shadmani mein musafir har koi hota hai is rah-e-mohabbat ka kabhi hum bhi the diwane isi dilkash rawani mein nahin shikwa andheron se shikayat hai ujalon se sada zakhmon pe chamke hain bahut hi bad-gumani mein sunae 'sarthi' kya dastan apni udasi ki kahin chhalke na aankhon se lahu qissa-bayani mein