jag mein aata hai har bashar tanha

jag mein aata hai har bashar tanha
laut jata hai phir kidhar tanha

kuchh dua bhi to ho mariz ke nam
kab dawa ka hua asar tanha

muddaton khud ko hi tarasha hai
sip mein rah ke ek guhar tanha

umr-bhar sab ke kaam aaya jo
ro pada khud ko dekh kar tanha

sab masarrat mein sath dete hain
gham uthaenge hum magar tanha

tark ulfat jo us ne ki hum se
thamte hum rahe jigar tanha

chhanw mein baith kar gae hain sabhi
rah gaya phir se ek shajar tanha

kahkashan bhi hai aur tare bhi
chand aata hai kyun nazar tanha

yaadon ke karwan mile hum se
khud ko samjhe the hum jidhar tanha

chaar pal wasl ke jo bit gae
khud ko paya hai kis qadar tanha

beach apnon ke rah ke bhi 'mona'
zindagi hum ne ki basar tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close