ghamon se yun wo farar iKHtiyar karta tha

ghamon se yun wo farar ikhtiyar karta tha
faza mein udte parinde shumar karta tha

bayan karta tha dariya ke par ke qisse
ye aur baat wo dariya na par karta tha

bichhad ke ek hi basti mein donon zinda hain
main us se ishq to wo mujh se pyar karta tha

yunhi tha shahr ki shakhsiyyaton ko ranj us se
ki wo ziden bhi badi pur-waqar karta tha

kal apni jaan ko din mein bacha nahin paya
wo aadmi ki jo aahat pe war karta tha

wo jis ke sehn mein koi gulab khil na saka
tamam shahr ke bachchon se pyar karta tha

sadaqaten thin meri bandagi mein jab 'azhar'
hifazaten meri parwardigar karta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close