ghani aabaadiyon ki be-amani ka tamasha kar nikal kar ghar se marg-e-na-gahani ka tamasha kar jo zinda aag mein dale gae lashen na gin un ki jo bach nikle hain un ki sakht-jaani ka tamasha kar jo takht-o-taj ke malik hain kya wo mo'tabar bhi hain shar-angezi mein dubi hukmarani ka tamasha kar bacha kya rah gaya kalak bhare jhulse makanon mein ujadi bastiyon ki be-nishani ka tamasha kar nai tarikh ke safhon pe likkha ja raha hai kya huruf-e-qahr ki aatish-fishani ka tamasha kar jo dil mein hai use na-gufta rahne de to behtar hai badalti surat-e-harf-o-maani ka tamasha kar na koi khwab baqi hai na aansu khushk aankhon mein tahi-daston ki gum-sum nauha-khwani ka tamasha kar har ek shab shukr kar teri abhi gardan salamat hai har ek din sail-e-khun ki be-karani ka tamasha kar qayamat sar tak aa pahunchi hai rakh le hath aankhon par mata-e-zindagi ki raegani ka tamasha kar