ghar banane mein tamam ahl-e-safar lag gae hain

ghar banane mein tamam ahl-e-safar lag gae hain
kya tamashe ye sar-e-rahguzar lag gae hain

tod kar band-e-qaba jism uda jata hai
kaise is khak ki diwar ko par lag gae hain

sirf ek tujh se bichhadne ka nahin khauf hamein
sath mein ab ke kai aur bhi dar lag gae hain

sabza-e-mutazir is darja numu ko pahuncha
dekh hum dar pe tere misl-e-shajar lag gae hain

jashn-e-girya to kiya tha meri aankhon ne shurua
sath ab shahr ke sab dida-e-tar lag gae hain

kaisi afwah udi tujh se mere rishte ki
sab tere chahne wale mere ghar lag gae hain

husn to hai hi nai tarah se aatish-angez
aaine ko bhi nae barq-o-sharar lag gae hain

karkhana hai usi husn ka aalam sara
bas jidhar us ne lagaya hai udhar lag gae hain

jis ki padash mein hai dar-ba-dari ka ye itab
phir usi kaam pe hum shahr-badar lag gae hain

'farhat-ehsas' main kya dekha jo us ke pichhe
aankhen dikhlate hue ahl-e-nazar lag gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close