ghar hai to dar bhi hoga diwar bhi rahegi

ghar hai to dar bhi hoga diwar bhi rahegi
zanjir bhi hilegi jhankar bhi rahegi

tarikiyon ke qalb-e-tarik-tar mein dhundo
ek shama mawara-e-anwar bhi rahegi

behtar tha be-rukhi ka izhaar yun na hota
mana ki kuchh to wajh-e-inkar bhi rahegi

jis aankh ko chhupa kar rakkha hai har nazar se
wo nim-wa bhi hogi bedar bhi rahegi

sahra talab ka goya maidan-e-karbala hai
panw mein ret sar par talwar bhi rahegi

qurbat ki saaton mein duri ka khauf hoga
sae se raushni ki paikar bhi rahegi

zahir hai sadgi bhi 'almas' ke sukhan se
lekin ghazal ki fitrat pur-kar bhi rahegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close