ghar ki diwaron ko hum ne aur uncha kar liya shor-e-sad-e-mahshar suna aur khud ko bahra kar liya band nafe ki tarah rahte hain apne aap mein apni khushbu se moattar dil ka sahra kar liya dard mahjuri ka aaina hai apne ru-ba-ru jab nazar aaya na to apna tamasha kar liya dar pe har ummid ke phaila diya daman-e-dil kaj-kulah-e-zindagi ne khud ko ruswa kar liya hum samajhte hain tere malbus ki tauqir ko dagh-e-uryani nazar aaya to parda kar liya jab koi surat nazar aai na hansne ki 'nadim' gham ki har taswir ko aankhon mein yakja kar liya