ghar ko ab dasht-e-karbala likkhun aaj khud apna marsiya likkhun sada kaghaz pe khun ke aansu ab use khat mein aur kya likkhun barg-e-gul par saba ke daman par nam tera hi ja-ba-ja likkhun zikr aae jo teri manzil ka chand-suraj ko naqsh-e-pa likkhun ho tera hi jamal pesh-e-nazar jab qalam se khuda khuda likkhun main to zinda hun mar chuka hai wo apne qatil ka marsiya likhun ai 'sarosh' apni zindagi ko main kaun se jurm ki saza likkhun