ghar se nikal ke shahr ke raste ko ghurna

ghar se nikal ke shahr ke raste ko ghurna
phir gham-zada si nazm ke misre ko ghurna

do mashghale aziz hain is hijr-zad ko
bistar pe letna kabhi pankhe ko ghurna

hargiz nahin hun main nahin hun koi aur hai
pagal sa aks dekh ke shishe ko ghurna

diwangi ke khauf se phir chikh chikh kar
kamre mein jhankte hue bachche ko ghurna

kis haal ji raha hun main chaho jo jaanna
to dhup mein khade hue paude ko ghurna

'rahib' dukhon ki gard mein lipte sitam-zarif
ashkon ka bojh jhelte takiye ko ghurna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close