gharibon ko faqat updesh ki ghuTTi pilate ho

gharibon ko faqat updesh ki ghutti pilate ho
bade aaram se tum chain ki bansi bajate ho

hai mushkil daur sukhi rotiyan bhi dur hain hum se
maze se tum kabhi kaju kabhi kishmish chabaate ho

nazar aati nahin muflis ki aankhon mein to khush-haali
kahan tum raat-din jhuthe unhen sapne dikhate ho

andhera kar ke baithe ho hamari zindagani mein
magar apni hatheli par naya suraj ugate ho

wywastha kashtkari kyun na ho kirdar aisa hai
ye janta jaanti hai sab kahan tum sar jhukate ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close