ghazab kiya tere wade pe e'tibar kiya tamam raat qayamat ka intizar kiya kisi tarah jo na us but ne e'tibar kiya meri wafa ne mujhe khub sharmsar kiya hansa hansa ke shab-e-wasl ashk-bar kiya tasalliyan mujhe de de ke be-qarar kiya ye kis ne jalwa hamare sar-e-mazar kiya ki dil se shor utha hae be-qarar kiya suna hai tegh ko qatil ne aab-dar kiya agar ye sach hai to be-shubah hum pe war kiya na aae rah pe wo ijz be-shumar kiya shab-e-visal bhi main ne to intizar kiya tujhe to wada-e-didar hum se karna tha ye kya kiya ki jahan ko umid-war kiya ye dil ko tab kahan hai ki ho maal-andesh unhon ne wada kiya is ne e'tibar kiya kahan ka sabr ki dam par hai ban gai zalim ba tang aae to haal-e-dil aashkar kiya tadap phir ai dil-e-nadan ki ghair kahte hain akhir kuchh na bani sabr ikhtiyar kiya mile jo yar ki shokhi se us ki bechaini tamam raat dil-e-muztarib ko pyar kiya bhula bhula ke jataya hai un ko raaz-e-nihan chhupa chhupa ke mohabbat ko aashkar kiya na us ke dil se mitaya ki saf ho jata saba ne khak pareshan mera ghubar kiya hum aise mahw-e-nazara na the jo hosh aata magar tumhaare taghaful ne hoshyar kiya hamare sine mein jo rah gai thi aatish-e-hijr shab-e-visal bhi us ko na ham-kanar kiya raqib o shewa-e-ulfat khuda ki qudrat hai wo aur ishq bhala tum ne e'tibar kiya zaban-e-khar se nikli sada-e-bismillah junun ko jab sar-e-shorida par sawar kiya teri nigah ke tasawwur mein hum ne ai qatil laga laga ke gale se chhuri ko pyar kiya ghazab thi kasrat-e-mahfil ki main ne dhoke mein hazar bar raqibon ko ham-kanar kiya hua hai koi magar us ka chahne wala ki aasman ne tera shewa ikhtiyar kiya na puchh dil ki haqiqat magar ye kahte hain wo be-qarar rahe jis ne be-qarar kiya jab un ko tarz-e-sitam aa gae to hosh aaya bura ho dil ka bure waqt hoshyar kiya fasana-e-shab-e-gham un ko ek kahani thi kuchh e'tibar kiya kuchh na e'tibar kiya asiri dil-e-ashufta rang la ke rahi tamam turra-e-tarrar tar tar kiya kuchh aa gai dawar-e-mahshar se hai ummid mujhe kuchh aap ne mere kahne ka e'tibar kiya kisi ke ishq-e-nihan mein ye bad-gumani thi ki darte darte khuda par bhi aashkar kiya falak se taur qayamat ke ban na padte the akhir ab tujhe aashob-e-rozgar kiya wo baat kar jo kabhi aasman se ho na sake sitam kiya to bada tu ne iftikhar kiya banega mehr-e-qayamat bhi ek khal-e-siyah jo chehra 'dagh'-e-siyah-ru ne aashkar kiya