ghazal mein dard ke ehsas ko jagae baghair

ghazal mein dard ke ehsas ko jagae baghair
hunar mein aata nahin dil pe chot khae baghair

talash karta hua phir raha hun barson se
kahan gaya mera bachpan mujhe batae baghair

na jaane kaun si duniya mein log jite hain
khayal-o-khwab ki duniya koi basae baghair

kai sitare bade bad-nasib hote hain
wo dub jate hain palkon pe jhilmilae baghair

mujhe ghazal bhi meri dadi-man si lagti hai
nahin sulati kahani koi sunae baghair


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close