ghurur-e-naz dikha tujh mein kitna jauhar hai mera khulus bhi dariya nahin samundar hai parakh yahi hai mohabbat ki aanch do us ko pighal gaya to wo shisha hai warna patthar hai khala-naward ko yaro faraaz-e-manzil kya ki ab to us ka har ek par bajae shahpar hai adawaton ko fana kar diya mohabbat se mujahide mein mohabbat hi apna khanjar hai subut-e-baiat-e-pir-e-haram ye hai to sahi ki aaj tak kaf-e-dast-rasa munawwar hai mujhe zarurat-e-ghaza nahin ki chehre par mere zamir ka jo rang hai ujagar hai sitara-e-sahar-asar hai jo ai 'ghausi' ghubar-basta abhi us ka pesh-manzar hai