gila to aap se hai aur be-sabab bhi nahin

gila to aap se hai aur be-sabab bhi nahin
magar irada-e-izhaar zer-e-lab bhi nahin

main chahta hun ki apni zaban se kuchh na kahun
main saf-go hun magar itna be-adab bhi nahin

jafa ki tarah mujhe tark-e-dosti bhi qubul
malal jab bhi na tha mujh ko aur ab bhi nahin

guzar gaya wo talabgariyon ka daur ba-khair
khuda ka shukr hai kab fursat-talab bhi nahin

mizaj-e-waqt se tang aa chuka hai mera zamir
mere usul badal jaen to ajab bhi nahin

gae dinon ka fasana hai ab hamara wajud
wo muflisi bhi nahin hai wo roz-o-shab bhi nahin

jawab dunga main kuchh mujh se puchh kar dekho
abhi main hosh mein hun aisa jaan-ba-lab bhi nahin

hasab-nasab ki jo puchho to shajara pesh karun
khitab koi nahin hai mera laqab bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close