har shai wahi nahin hai jo parchhaiyon mein hai is ke siwa kuchh aur bhi gahraiyon mein hai aaina jis se tut ke be-ab ho gaya wo aks-e-be-nawa bhi tamashaiyon mein hai fursat mile to main bhi koi marsiya likhun ek dasht-e-karbala meri tanhaiyon mein hai kis shahr mein talash karen rishta-e-wafa sunte to hain purani shanasaiyon mein hai dariya ke zor-o-shor pe baaten hazar hon pani magar wahi hai jo gahraiyon mein hai ghul jae sher mein to zamin aasman bane wo husn-e-la-zawal jo sachchaiyon mein hai bekar us ko ahl-e-wafa mein gina gaya 'nami' kahan se aap ke shaidaiyon mein hai