gira to gir ke sar-e-KHak-e-ibtizal aaya

gira to gir ke sar-e-khak-e-ibtizal aaya
main tegh-e-tez tha lekin mujhe zawal aaya

ajab hua ki sitara-shanas se mil kar
shikast-e-anjum-e-nau-khez ka khayal aaya

main khak-e-sard pe soya to mere pahlu mein
phir ek khwab-e-shikast aaina-misal aaya

kaman-e-shakh se gul kis hadaf ko jate hain
nasheb-e-khak mein ja kar mujhe khayal aaya

koi nahin tha magar sahil-e-tamanna par
hawa-e-sham mein jab rang-e-indimal aaya

yahi hai wasl dil-e-kam-muamla ke liye
ki aaine mein wo khurshid-e-khadd-o-khal aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close