girdab-e-reg-e-jaan se mauj-e-sarab tak zinda hai to lahu mein bas ek iztirab tak ek main ki ek gham ka taqaza na kar saka ek wo ki us ne mang liye apne khwab tak tu lafz lafz lazzat-e-hijran mein hai abhi hum aa gae hain hijrat-e-gham ke nisab tak jo zer-e-ab-e-mauj-e-rawan hai khuruj-e-ab aa jae ek roz agar sath-e-ab tak milta kahin sawad-e-warud-o-shahud mein hota meri hudud ka koi hisab tak tera hi raqs silsila-e-aks-e-khwab hai is ashk-e-nim-shab se shab-e-mahtab tak aasar-e-ahd-e-gham hain tah-e-reg-e-jaan ki tu pahuncha nahin abhi dil-e-khana-kharab tak