god mein zarraat ki sar apna rakh kar so gaya pyas ki dahliz par dariya ka manzar so gaya kuchh nazar aata nahin aaina-e-ayyam mein aks-e-hairat jag utha khwabon ka paikar so gaya dard ko darman banane ka hunar rakhta tha wo odh kar jo waqt ki khush-rang chadar so gaya jis ka rishta tha jahan-e-agahi ke karb se wo payam-e-amn ka hami kabutar ho gaya hum hi gham-khwar-e-tamanna the na soe subh tak jab dar-o-diwar ko nind aa gai ghar so gaya khak udti hai sar-e-sahn-e-tamanna chaar su didani jo kuchh bhi tha manzar-ba-manzar so gaya ahd-e-nau ne tabish-e-husn-e-rifaqat chhin li qarya-e-jaan mein mohabbat ka samundar so gaya mausam-e-saffak ne wo subh raushan ki hai 'naz' qatra-e-shabnam sar-e-shakh-e-gul-e-tar so gaya