gulsitan-e-zindagi mein zindagi paida karo

gulsitan-e-zindagi mein zindagi paida karo
muskura kar ruh mein kuchh tazgi paida karo

murdani chehre bana kar faeda jine se kya
kam se kam is zindagi mein zindagi paida karo

tod do badh kar andheri raat ke shadyantr ko
kuchh nahin to aarzu-e-raushni paida karo

waqt ke be-rahm hathon ne kuchal dala jinhen
un khizan-dida gulon mein tazgi paida karo

dekh lena ye jahan jannat-nishan ban jaega
dushmanon se rasm-o-rah-e-zindagi paida karo

sirf aabaadi badhane se koi hasil nahin
jin mein ho insaniyat wo aadmi paida karo

kaba o kashi alamat hain khuda ke nur ke
tum gharibon ke gharon mein raushni paida karo

zindagi bakhshi gai hai dard-e-dil ke waste
zindagi mein dard-e-dil ai 'sahni' paida karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close