gulzar-e-jahan mein gul ki tarah go shad hain hum shadab hain hum

gulzar-e-jahan mein gul ki tarah go shad hain hum shadab hain hum
kahti hai ye hans kar subh-e-khizan sab naz-e-abas ek khwab hain hum

kis mah-e-laqa ke ishq mein yun bechain hain hum betab hain hum
kirnon ki tarah aawara hain hum taron ki tarah be-khwab hain hum

mit jaane pe bhi masrur hain hum murjhane pe bhi shadab hain hum
shahba-e-shabab-o-ishq ka ek bhula hua rangin khwab hain hum

fitrat ke jamal-e-rangin se hum ne bhi uthae hain parde
barbat hai agar firdaus-e-jahan to is ke liye mizrab hain hum

khush-waqti hai wajh-e-ranj-o-alam gulzar-e-jahan mein ai hamdam
tair na pukaren shad hain hum ghunche na kahen shadab hain hum

milne pe gar aaen koi makan khali nahin apne jalwon se
aur gosha-nashin ho jaen agar kamyab nahin nayab hain hum

do din ke liye hum aae hain ek shab ki jawani lae hain
firdaus-e-sara-e-hasti mein hum rang-e-gul-e-mahtab hain hum

ruswai-e-sher-o-ishq ne wo rutba hamein 'akhtar' bakhsha hai
fakhr-e-dakan-o-bangal hain hum naz-e-awadh-o-panjab hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close