gum kar diya hai did ne yun sar-ba-sar mujhe milti hai ab unhin se kuchh apni khabar mujhe nalon se main ne aag laga di jahan mein sayyaad jaanta tha faqat musht-e-par mujhe allah re un ke jalwe ki hairat-fazaiyan ye haal hai ki kuchh nahin aata nazar mujhe mana harim-e-naz ka paya buland hai le jaega uchhaal ke dard-e-jigar mujhe aisa ki but-kade ka jise raaz ho supurd ahl-e-haram mein koi na aaya nazar mujhe kya dard-e-hijr aur ye kya lazzat-e-visal is se bhi kuchh buland mili hai nazar mujhe mast-e-shabab wo hain main sarshaar-e-ishq hun meri khabar unhen hai na un ki khabar mujhe jab asl is majaz o haqiqat ki ek hai phir kyun phira rahe hain idhar se udhar mujhe