gum-shuda mausam ka aankhon mein koi sapna sa tha

gum-shuda mausam ka aankhon mein koi sapna sa tha
baadalon ke udte tukdon mein tera chehra sa tha

phir kabhi mil jae shayad zindagi ki bhid mein
jis ki baaten pyari thin aur nam kuchh achchha sa tha

jaan-ba-lab hone laga hai pyas ki shiddat se wo
khushk registan mein ek shakhs jo dariya sa tha

ghir gaya hai ab to shoalon mein mera sara wajud
us ki yaaden thin to sar par ek khunuk saya sa tha

us ne achchha hi kiya rishton ke dhage tod kar
main bhi kuchh ukta gaya tha wo bhi kuchh uba sa tha

shahr ki ek ek shai apni jagah par hai 'nazar'
kya hua wo aadmi kuchh kuchh jo diwana sa tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close