gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka

gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka
jo be-gunah tha wo bhi nazar mila na saka

tarab hai shewa-e-rindan-e-aqibat-na-shanas
jo gul na tha wo gulistan mein muskura na saka

bahut khafif thi kaun-o-makan ki jalwagari
meri nigah ka gosha bhi jagmaga na saka

hawala-e-nigah-e-sharamgin huin aakhir
wo bijliyan jo kahin aasman gira na saka

badia-kar hai zehn-e-khirad-pasand magar
tasawwuraat se taswir-e-gham bana na saka

ajab nahin ki gulistan mein pa-ba-gil rah jae
wo bad-nasib jo ramz-e-khiram pa na saka

jiya wo pak jo rakhta tha khar-e-pairahan
jo gul ba-jaib tha daman kabhi bacha na saka

'nushur' nazuki-e-tab-e-sher kya kahiye
jahan mein rah ke zamane ke naz utha na saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close