kahte ho mujhe be-adab KHair main be-adab sahi

kahte ho mujhe be-adab khair main be-adab sahi
tum se shikayat-e-sitam jab na sahi to ab sahi

bazm-e-aza-e-dost mein gham na sahi tarab sahi
hans na sako jo khul ke tum to khanda-e-zer-e-lab sahi

jitni hon mehrbaniyan rakhiye wo ghair ke liye
aur sitam hon jis qadar mere liye wo sab sahi

mujh par agar karam nahin us ka mujhe alam nahin
koi na koi baat ho qahr sahi ghazab sahi

lutf-e-karam na ho na ho kam hai wo kya ata ho jo
kawish-e-be-sabab sahi kulfat-e-be-talab sahi

shauq se kah ke bad-nasib aap use pukariye
nam 'rashid' hai to ho aur bhi ek laqab sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close