guzar chuka hai zamana visal karne ka ye koi waqt hai tere kamal karne ka bura na man jo pahlu badal raha hun main mera tariqa hai ye arz-e-haal karne ka mujhe udas na kar warna sakh tutegi nahin hai tajraba mujh ko malal karne ka talash kar mere andar wajud ko apne irada chhod mujhe paemal karne ka ye hum jo ishq mein bimar padte rahte hain ye ek sabab hai talluq bahaal karne ka ajib shakhs tha lauta gaya mera sab kuchh muawza na liya dekh-bhaal karne ka phir is ke baad hamesha hi chup rahe 'mohsin' khiraj dena pada arz-e-haal karne ka