guzaran hain guzarte rahte hain hum miyan jaan marte rahte hain hae jaanan wo naf-pyala tera dil mein bas ghunt utarte rahte hain dil ka jalsa bikhar gaya to kya sare jalse bikharte rahte hain yani kya kuchh bhula diya hum ne ab to hum khud se darte rahte hain hum se kya kya khuda mukarta hai hum khuda se mukarte rahte hain hai ajab us ka haal-e-hijr ki hum gahe gahe sanwarte rahte hain dil ke sab zakhm pesha-war hain miyan aan ha aan bharte rahte hain