haal-e-dil-e-tabah kisi ne suna kahan

haal-e-dil-e-tabah kisi ne suna kahan
puchhe magar koi to lab-e-muddaa kahan

tai kar raha hun khwab-o-haqiqat ke fasle
mana ki main kahan teri aawaz-e-pa kahan

aalam tamam pairahan-e-tar-tar hai
mahshar sukut-e-nim-shabi ka utha kahan

wo dard justuju-e-gul-e-naghma thi jise
khud apne reg-zar mein gum ho gaya kahan

is darja be-rukhi pe pasheman na ho koi
khud mujh ko ehtiram-e-shuur-e-wafa kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close