hae logon ki karam-farmaiyan tohmaten badnamiyan ruswaiyan zindagi shayad isi ka nam hai duriyan majburiyan tanhaiyan kya zamane mein yun hi katti hai raat karwaten betabiyan angdaiyan kya yahi hoti hai sham-e-intizar aahaten ghabrahaten parchhaiyan ek rind-e-mast ki thokar mein hain shahiyan sultaniyan daraiyan ek paikar mein simat kar rah gain khubiyan zebaiyan ranaiyan rah gain ek tifl-e-maktab ke huzur hikmaten aagahiyan danaiyan zakhm dil ke phir hare karne lagin badliyan barkha ruten purwaiyan dida-o-danista un ke samne laghzishen nakaamiyan paspaiyan mere dil ki dhadkanon mein dhal gain chudiyan mausiqiyan shahnaiyan un se mil kar aur bhi kuchh badh gain uljhanen fikren qayas-araiyan 'kaif' paida kar samundar ki tarah wusaten khamoshiyan gahraiyan