'hafiz' wasl mein kuchh hijr ka khayal na tha wafur-e-aish mein andesha-e-maal na tha bura hi kya hai baratna purani rasmon ka kabhi sharab ka pina bhi kya halal na tha naya hai ab ke baras kuchh bahaar ka aalam junun ka zor to aisa guzishta-sal na tha khayal tum ne dilaya jo guzri baaton ka malal ab wo hua pahle jo malal na tha wo din hain yaad ki barson thi khud-faramoshi ye dhun kisi ki thi apna bhi kuchh khayal na tha tum aa gae ki meri jaan bach gai warna kuchh aaj maut ke aane mein ehtimal na tha koi to wajh-e-masarrat hai go kahen na kahen ki yun 'hafiz' ka chehra kabhi bahaal na tha