hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi

hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi
na un ki dosti achchhi na un ki dushmani achchhi

zamana fasl-e-gul ka aur aaghaz-e-shabab apna
abhi se tu ne tauba ki bhi ai zahid kahi achchhi

jafa-dost us ko kahta hai koi koi wafa-dushman
hamare sath to us ne nibahi dosti achchhi

teri khatir se zahid hum ne tauba aaj ki warna
ghadi bhar gham ghalat karne ko bas wo chiz thi achchhi

ziyaada ai falak de ranj-o-rahat hum ko jo kuchh de
na do din ka ye gham achchha na do din ki khushi achchhi

kabhi jab hath mal kar un se kahta hun ki be-bas hun
to wo hans kar ye kahte hain tumhaari bebasi achchhi

jo sach puchho hasinon ka haya ne rakh liya parda
nikal chalte gharon se ye to hoti dil-lagi achchhi

hum aaen aap mein ya-rab wo jis dam aaen baalin par
hujum-e-ranj-e-tanhai se hai ye be-khudi achchhi

mohabbat ke maze se dil nahin hai aashna jis ka
na us ki zindagi achchhi na us ki maut hi achchhi

wo mai-kash hun ki de kar duni qimat sab ki sab le li
kisi se jab suna main ne ki bhatti mein khinchi achchhi

use duniya ki sau fikren hamein ek rang-e-nadari
kahin munim ki daulat se hamari muflisi achchhi

khushi ke baad gham ka samna hona qayamat hai
jo gham ke baad hasil ho wo albatta khushi achchhi

na chutegi mohabbat ghair ki hum se na chutegi
aji ye baat tum ne aaj to khul kar kahi achchhi

hamare dida-o-dil mein hazaron aib niklenge
tumhaara aaina achchha tumhaari aarasi achchhi

tere is jubba-o-dastar se rindon ko kya matlab
jise jo waza ho marghub ai zahid wahi achchhi

kahe sau sher tum ne sust to hasil 'hafiz' is ka
ghazal ho chust chhoti si to baiton ki kami achchhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close